Friday, 25 December 2015

SHAWHAR KE HUQOOQ | by habib bhati

Bismillahirrahmanirraheem

✨SHAWHAR KE HUQOOQ✨

1- Allah ki nafarmani ke elawa aurat mard ki har baat me uski farmabardari kare

Allah ka irshaad hai:

fa-inna a-ta-nakum fa-la tab-ghu alai-hinna sabeela

trans: “agar wah tumhara kaha maan le toh phir un par koi raasta na talaash karo”

rasoollullah(sws) ka farmaan hai:

” jab mard apni aurat ko apne bistar par bulaaye aur wah na jaaye aur wah naraaz raat guzaar de to farishte us aurat par subah tak laanat karte rahte hain”

(bukhari, muslim)📚

Aur farmaya

” agar main kisi ko huqm karta ki wah kisi ko sazda kare to aurat ko hukm karta ki apne mard ko sazda kare”

(abu dawood, haakim, sahih tirmizi)📚

2- shauhar ke maal wa daulat, izzat wa aabru aur ghar ke saare maamle me uski hifazat karda bane

aur rasoollullah (sws) ne farmaya hai

” aurat apne shauhar ke ghar aur uski awlaad ki Hifazat wali hai”

(bukhari, muslim)📚

3- shawhar ke ghar me rahe, uski izazat wa marzi Ke bina baahar na nikle, apni nazar neechi rakhe , unchi aawaz se baat na kare, buraayi se apne haath roke aur zabaan ko gandi baaton se bachaaye, rishte daaron ke saath ehsaan me wahi mamla rakhe jo uska shauhar ikhteyaar kiye hue hai, isliye ki jo aurat mard ke maa baap aur qarabat daaron ke saath acchi nahi hai wah shauhar ke liye acchi kahan hui??

Allah ka irshaad hai:

wa-qarna fi-buyu-tikunna wa-la tabar-rajna tabar-ruja al-jahiliyati al-oola

“aur apne gharon me thahri raho aur jahiliyat ki tarah baanao singaar na karna”

aur farmaya

fa-la takh-zaa-na bi-al-qauli fayat-ma-aa al-lazi fi-qal-bihi mara-zun

” aur baton me narmi na karna jiske dil me bimari hai wah lalak karega”

aur farmaya

“aur momina aurton se kahiye ki apni aankhe jhuka kar rakhen aur apni sharmgaahon ki hifazat karen aur apni singaar ka dikhaawa na karen, ya yah ki jo khud se zaahir ho jaaye”

aur rasoollullah ne Farmaya

” acchi auraton me wah aurat hai jab usko dekhe to tujhe khush kare, use hukam kare to poora kare aur jab usse ghayab ho to apne nafs aur tere maal ki hifazat kare”

(tabrani wa sanad sahih)📒

aur farmaya

” Allah ki bandiyon ko masjid se na roko agar kisi ki aurat usse masjid jaane ki izaazat talab kare to mana na kare”

(muslim, ahmad)📚

” aurton ko raat ke waqt masjidon me jaane ki izazat de do”

(muslim, abu dawood, ahmad, tirmizi)📚

✨✒Miya-Biwi k aur b kayi huqooq h, in sha Allah hum doosre post me dekhenge.
Lekin ek baat yaad rakhein,
Miya Biwi ka rishta huqooq se bala tar h..
Ye rishta ahsaanaat  ka rishta h. Ek doosre pe bina koi laalach aur faaide, badle  (return) k sath ahsaan karte rahein, iski barkat se aapki dunia b sawar jayegi aur aakhirat b, in sha Allah.

No comments:

Post a Comment